tum meri mazbut si diwar ho mere kamzor palon ki jild si tabhi har mausam se be-khauf bachaya hai use jild sakht aur wahi rangin si rahe pichhle baras yaad hai kitni umas thi hum galne se lage the aansuon se ya badle mausam se shayad donon se jaanti hun jild ki fitrat kasi bandhi pukhta kone rundne ke baad bhi mazbut si lekin ab safhe galne lage be-waqt mausam se sambhaal sako to mudai kar lo phir se aksar purani jild nae safhon mein be-maani be-raunaq si malum hoti hai safhe lugdi se gal jae kahin