mujhe dar hai ki kahin sard na ho jae ye ehsas ki raat narghe tufan-e-hawadis ke hawas ki yalghaar ye dhamake ye bagule sar-e-rah jism ka jaan ka paiman-e-wafa kya hoga tera kya hoga mere tar-e-nafas tera kya hoga ai mizrab-e-junun ye dahakte hue rukhsar ye mahakte hue lab ye dhadakta hua dil shafaq-e-zist ki peshani ka rangin qashqa kya hoga ud na jae kahin ye rang-e-jabin mit na jae kahin ye naqsh-e-wafa chup na ho jae ye bajta hua saz shamen ab kaun jalaega sar-e-sham guzargahon mein dahr mein lutf-o-ata kuchh bhi nahin dahr mein mehr-o-wafa kuchh bhi nahin sajda kuchh bhi nahin naqsh-e-pa kuchh bhi nahin mere dil aur dhadak shakh-e-gul aur mahak aur mahak aur mahak