satwin bar askandariya ke nile sahil par us ne apni did ka sunahra sikka mere kanon ke kashkol mein dan kiya askandariya jise ek bahadur jang-ju ne aabaad kiya tha jo hanste baste shahron ke nam barbaadi ke sandese likhta tha us ka nasib budhe mallah ki bosida kashti se bandha hachkole le raha tha duniya ka nasib likhne wale us ke sanwle hathon mein shumali misr ke sarsabz baghon ke awwalin phal the jise wo boto shahar ke sab se qadim darul-istikhara ko bhent karne aai thi