tum mujhe pane ke chahe jitne jatan kar lo tum ba-wafa ba-mani ho main to ek lafz-e-be-mani apne aap se kab mila hun jo tum se mil lun tumhein pa lun ye aur baat ki mere takhayyul ki asas tu aaina tu aaina-gar bhi tu raza bhi tu qaza bhi tu rida bhi tu ada bhi tu saza bhi tu jaza bhi tu khudi bhi tu khuda bhi tu lekin na jaane kya baat hai dil dil se dur rahte hain aankh se koi aankh bhi nahin milti hath se hath khauf khate hain faza mein sans leti hain mahrumiyan is liye sham hi se aayatal-kursi padh leti hain na-jaane kitni udasiyan tum jo chaho to waqt ka gauhar samet lo ya apni hi pyas se samundar samet lo tum mujhe pane ke chahe jitne jatan kar lo tum ba-wafa ba-mani ho main to ek lafz-e-be-mani apne aap se kab mila hun jo tum se mil lun tumhein pa lun