ehtijaj

aman ki chadar mein
barud aur mohlik hathiyaron ki gathdi bandh ke

duniya bhar mein bhejne wale behis logo
apni sazish-gah se bahar jhank ke dekho

chehre par jaani-pahchani be-maqsad si kuchh tahriren
thake hue pairon mein bhagte raston ki sakit zanjiren

jaise aazadi ke ghar mein qaid hon do nangi taswiren
khushk labon par pyas bhari talkhi ke sare zaiqe likkhe

khali pet ko aankhon ki dahliz pe rakkhe
samne ek sadak ke mod pe

do zinda sae rote hain
chehre mohre rang aur nasl mein

bilkul tum jaise hote hain
maile jism par andar ka ahwal sajae

hathon ko kashkol banae
aane jaane walon se kahte rahte hain

baba koi kaam kara lo
aur us ke badle mein hum ko

roti la do
bhuk mita do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close