tanhai mein aksar socha karti hun maut kya aur hayat kya hai hasil aur la-hasil ke kya mani zindagi ke safar mein chalte chalte ek din maut se takraenge ladkhadaenge aur kuchh waqfe ke liye dam le kar aage chalenge maut sirf ek waqfa hai aur phir se hayat ka safar hoga jari jo aarzi nahin daimi hoga kabhi na khatm hone wala yaqinan chalo apna ehtisab kar len daimi is safar ka kuchh intizam kar len chalo apna ehtisab kar len