is duniya se kabhi dil na lagana tum is duniya par farefta na hona tum ye ranginiyan ye mastiyan sab aalam-e-fani hai yaad rakhna tum husn-e-zahir se dhoka na khana ye kuch kar jaane ka ghar hai thikana nahin hai ye sada ka ghafil na ho rasta mukhtasar hai zindagi ye imtihan ki dagar hai fana ho jaegi aakhir yahi is ki haqiqat hai rahe aakhirat ki fikr sada kuchh to ho jae saman-e-safar paida achanak kan mein mere kaha ye maut ne aa kar