eid ka chand dekh kar

subh khairaat ke aangan mein gharibi hogi
phir wahi sadqa-e-jaan ab ke baras paenge

aur har dast-e-mukhayyar mein chamakte sikke
malgaje jismon ki haalat pe taras khaenge

gham ke tapte hue sahra pe khushi ke baadal
be-irada hi sar-e-rah baras jaenge

tira-bakhti ki munderon pe umidon ke charagh
phir raunat ki hawaon se jila mangenge

bhuk ki gard mein lipte hue simin paikar
nang-e-ehsas saubat se qaba mangenge

phir hawas-ju kisi adh-nangi jawani ki taraf
apni phenki hui chadar ka sila mangenge

faqa-masti hi muqaddar hai to aakhir ek din
pet ki aag bujhane ki zarurat kya hai

sal-ha-sal ki bosida riwayat ke ewaz
daulat-e-gham ko lutane ki zarurat kya hai

bhik ke paison ko dastar-e-ana mein rakh kar
sathiyo eid manane ki zarurat kya hai

aur agar eid manana hai to jaan-e-ghurbat
sang-e-mehnat se ye kashkol-e-zalalat todo

bhik par jine se behtar hai khudi par marna
ye hisar-e-rawish-e-ahl-e-inayat todo

mah-e-quran ke fazael ki qasam hai tum ko
aaj khairaat pe jine ki riwayat todo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close