man ki mamta bap ki shafqat tera aaghosh hai din duniya ka tere sae mein kis ko hosh hai dilruba teri adaen khush-nazar tera jamal raushni deta hai zehnon ko tera mahr-e-khayal raqs karti hai tere aangan mein jannat ki faza kis qadar pur-kaif hai tere darakhton ki hawa garmiyon ki chandni raaton ka manzar kaif-e-jaan dudh sa thanda samundar barf jaisi kashtiyan tere diwane rahe hain kitne hi ahl-e-khirad tere zanu par sukun ki nind soe nek-o-bad ilm ki ek sabz wadi hai ye teri sarzamin aisi hariyali to shayad sari duniya mein nahin husn ki pakizgi tu ne ata ki umr bhar ishq ko sanjidgi tu ne ata ki umr bhar har thakan ke daur mein tu ek shajar sabit hua gumrahi ke waste bhi rahbar sabit hua