kaisi nikhri si nazar aati hai faza eid ke roz shadman phirte hain sab shah-o-gada eid ke roz kitni be-fikri se gate hain gada rahon mein pet khali ho to gaen bhi na kya eid ke roz kya bhali lagti hai har pir-o-jawan ke munh se har taraf eid mubarak ki sada eid ke roz ammi khush hongi aur eidi bhi wahi paega waqt se pahle jo bedar hua eid ke roz chand untis ko kya nikla ki aadhi shab se tailoring shap mein ek tanta bandha eid ke roz kapde bhi dhul na sake waqt-e-namaz aa pahuncha laundry walon pe aafat hai bapa eid ke roz dadi amman ne musalle ko pare dal diya ghar mein mehmanon ka wo shor macha eid ke roz aankh ojhal hui aur tut sawayyon pe pada der se aslam isi tak mein tha eid ke roz id-gah shan se tam tam pe chale hain babban bap ke kandhon pe nanha bhi chadha eid ke roz pakde lathi ko matakte chale ramzani miyan pichhe se bachchon ka ek gol chala eid ke roz apne begane jo badh badh ke gale milte hon kyon na phir aae ibaadat mein maza eid ke roz roze ramzan ke rakhna to sabhi bhul gae kaise bhulenge sawayyon ko bhala eid ke roz sal ke sal rahe yaad-e-khuda se ghafil ai 'zaki' un ko bhi yaad aaya khuda eid ke roz