ye haqiqat hai kabhi phagun ke gun gate the hum chait ki aamad hui baqi nahin ab is ka gham holi guzri chait aaya le ke garmi ka payam rukhsati jade ki hai bhaarat se karta hai salam halki thandak ab rahegi kuchh dinon tak subh-o-sham jade garmi ka ye daura hota rahta hai mudam sal mein har ek mausam ka maza ek bar hai is liye phulon phalon ki hind mein bhar-mar hai khet mein gehun ke paudon ne dikhai hai bahaar kuchh dinon pahle the dhani ab sunahri hai qatar tha kisanon ko isi mausam ka kab se intizar fasl ki ummid mein aaya hai chehron par nikhaar bhuk se kumhlae chehron par bhi lali aa gai hai masarrat waqt se pahle diwali aa gai tij tyauhaaron pe har ek bhaarti qurban hai in ke karan faqa-masti mein guzar aasan hai ye na hon to aadmi ki zindagi viran hai bhaarti tahzib ki ye rang-o-masti jaan hai jab faza ganw ki gunj uthti hai chaiti-gan se muskuraati hai ye dharti bhi madhur muskan se