wo ek aam si ladki hai dekh kar jis ko na jaane kyun mujhe aisa khayal aata hai ki us ke hansne ka andaz ye batata hai hui nahin hai gham-e-dil se rasm-o-rah abhi padi nahin hai koi chot abhi rag-e-jaan par kisi nigah se uljhi nahin nigah abhi wo ek aam si ladki ek aisa jazba hai mili nahin jise alfaz mein panah abhi wo ek aam si ladki hai jaise chhai hui mere jawan khayalon pe be-khudi ki tarah khayal aata hai ek phul banne wali hai wo kam-sini jo hai munh-band si kali ki tarah jo rang ban ke hai mahbus us ke paikar mein wo bu-e-husn to phailegi raushni ki tarah wo ek aam si ladki hai jis ke sada nuqush chamak utthenge mohabbat ki sard aahon se jahan pe phul to kya dil bujhe hue honge guzarne wali hai wo in hasin rahon se abhi to khair se masumiyat tapakti hai magar sharab bhi tapkegi un nigahon se wo ek aam si ladki hai jis ke bare mein na jaane zehn mein aate hain kyun khayal kai magar bade hi tahayyur se aaj subah ke waqt suni hai main ne mohalle mein ek baat nai guzishta shab ko wahi ek aam si ladki khud apne ghar ke mulazim ke sath bhag gai