wo ladki wo masum alhad si ladki kisi aarzu ki tarah dil-nashin thi shua-e-sahar ki tarah thi achhuti bahaaron sitaron ka khwab-e-hasin thi bahaaron sitaron ka wo khwab lekin nirali hi tabir mein dhal raha hai wo masum dil jo charagh-e-wafa tha hawas ki bhari bazm mein jal raha hai wo jalte hue kuchh pasheman bhi hai nikhar bhi rahi hai magar is jalan se jamal-e-haqiqat bhi sharma raha hai banawat ke is khokhle bankpan se nadamat ke tute hue aansuon ne tabassum ko aarasta kar diya hai bilakte hue walwalon ke lahu ne nigahon mein bhi rang sa bhar diya hai wo aazad panchhi jo duba hua tha nashile sajile khayalon ke ras mein bade naz se bech kar pankh apne chahakta hai ab maslahat ke qafas mein jo doshizgi nikhat-e-raegan thi bada kar-amad dhuan ban rahi hai mohabbat bhare dil ki sada si dhadkan badi khub-surat fughan ban rahi hai kunwari umangon ki munh-band kaliyan zar-o-sim ke dher mein tul rahi hain badan ki mahakti hui chandni mein khanakti hui zulmaten ghul rahi hain khizan ke sunahri farebon mein aa kar haya ka muqaddas chaman lut raha hai ye aurat nahin ek madfan se jis mein ek alhad si ladki ka dam ghut raha hai wo alhad si ladki jo kuchh sal pahle kisi aarzu ki tarah dil-nashin thi shua-e-sahar ki tarah thi achhuti bahaaron sitaron ka khwab-e-hasin thi