kab tak teri bujhti aankhen nindon se bojhal chaukhat mein tutte taron girte chanaron ka ujda manzar dekhengi ye chaukhat to guzre pal ka rup dikha kar is aafaq ki dur-uftada sidhi mein gum ho jaegi jis ki aakhiri khidki phate purane kapdon ki tuti dukan mein khulti hai is chaukhat se bahar aa kar ghas pe nange panw chalna ghas jise shabnam ki moattar bundon ne ashnan diya hai yahin kahin us ke pahlu mein hawa wo sapne bant rahi hai jis ko is chhote se ghar ki shauq-e-sahar mein abhi haqiqat banna hai