wo ek ladki jo khamoshi mein bhi aksar chahakti thi subh se sham tak aur raat mein bhi baaten karti thi sabhon ko shad rakhti thi bahut masrur rahti thi kabhi baadal kabhi khushbu kabhi gul-rang ki surat barasti thi bikharti thi badalti thi magar mahsus hota tha hamesha pas rahti hai jo wo anjaan banti thi aziz az jaan lagti thi kabhi chanchal hawa panchhi ke pankhon aur nadi ke lams ki manind utar aati thi dil mein ruh ko pur-kaif rakhti thi kabhi honton ke ras aankhon ki shabnam galon ke khush-rang mausam se nashe ko jhil ko gulbun ko bhi wo mat deti thi main us ke lams se rukhsaron ki dhimi tamazat garm sanson se bahut qurbat bahut apnaiyat mahsus karta tha zehn ke pas pata tha use apna samajhta tha magar phir kya hua ek din ki ek bad-bakht dain ne khuda jaane kahan bheja ki sab la-ilm hain us se magar pahunche hue darwesh ne ye bhed khola hai basera us ka ab hai chandni ke kunj sitaron ke baghichon mein wo un ki sair karti hai magar ghamgin rahti hai use sab wahm kahte hain khilaf-e-aql kahte hain magar pakka yaqin hai jab koi tuta hua tara zamin ko chumne aaega wo bhi sath aaegi phir apne sath wo khushiyon ke sadha gul bhi laegi so har shab jagta hun rah mein aakash ki aankhen bichhata hun magar jo tara aata hai zamin tak aa nahin pata