kal raat zoron ki barsat thi aankhon ke aasman par bhi yaadon ke baadal chhae the barsat ki bunden aur aankhon ke baadal sath sath raat bhar baraste rahe mano har barasti bund khamoshiyon ko todta hua ek lafz ban gai thi donon ke beach guftugu raat bhar hui thi subh dekha aasman saf tha wo khul kar muskura raha tha mano us ke sare gile shikwe bah gae the magar aankhon ke baadal ab bhi jyun ke tyun the wo barse to the magar har bund jaise dil ke sagar mein utar gai thi aur ek bar phir dil se aankhon tak ka safar tai karne ke liye use intizar tha to sirf ek aur barsat ka