ek dar tha tanhai ka ek dar tha judai ka jo musalsal mere sath rahta tha kal ka din jo guzar gaya bahut bhaari lagta tha lagta tha kisi aise din ka bojh utha na paungi aadhe-adhure raste mein hi mar jaungi magar kal ka din bhi aa hi gaya aur ret ka wo gharaunda sath hi baha le gaya jis mein rakhe the main ne rang-ba-rang ke pyare patthar titliyon ke par aur mor ke pankh phulon ke sab rang aur aasman ki dhanak gilahri ka adh khaya akhrot man ke paron tale baithe murghabi ke bachche us gharaunde par utri dhup jis ne mujh se mera saya juda kar diya tha kal jab wo sab be-rahm waqt ki maujon ke sath bah gaya aur chaar-su qabr jaisa andhera phail gaya to safed dhup jate jate ek ehsan kar gai wo mujh ko mera saya lauta gai aur main marte marte bach gai warna main to aise kal mein mar hi jati aawazon ke bichhadne se