wo do-jahan ka malik sab haal jaanta hai neki ke aur badi ke ahwal jaanta hai duniya ke faislon se mayus jaane wala aisa na ho ki us ke darbar mein pukare aisa na ho ki us ke insaf ka taraazu ek bar phir se tole mujrim ke zulm ko bhi munsif ki bhul ko bhi aur apna faisla de wo faisla ki jis se ye ruh kanp utthe