bahut dinon se wo shakh-e-mahtab kat chuki hai ki jis pe tum ne giraft-e-wada ki reshmi shaal ke sitare saja diye the bahut dinon se wo gard-e-ehsas chhat chuki hai ki jis ke zarron pe tum ne palkon ki jhaalron ke tamam nilam luta diye the aur ab to yun hai ki jaise lab-basta hijraton ka har ek lamha tawil sadiyon ko odh kar sans le raha hai aur ab to yun hai ki jaise tum ne pahad raaton ko meri andhi ujad aankhon mein reza reza basa diya hai ki jaise main ne figar-dil ka hunar-asasa kahin chhupa kar bhula diya hai aur ab to yun hai ki apni aankhon pe hath rakh kar mere badan par saje hue aablon se bahta lahu na dekho mujhe kabhi surkh-ru na dekho na meri yaadon ke jalte-bujhte nishan kuredo na mere maqtal ki khak dekho aur ab to yun hai ki apni aankhon ke khwab apne darida-daman ke chaak dekho ki gard-e-ehsas chhat chuki hai ki shakh-e-mahtab kat chuki hai