lo tiswan sal bhi bit gaya lo baal rupahli hone lage lo kasa-e-chashm hua khali lo dil mein nahin ab dard koi ye tis baras kaise kate ye tis baras kaise guzre aasan sawal hai kitna ye! malum hai mujh ko ye duniya kis tarah wajud mein aai hai kis tarah fana hogi ek din malum hai mujh ko insan ne kis tarah se ki takhliq-e-khuda kis tarah buton ko paida kiya malum hai mujh ko main kya hun kis waste ab tak zinda hun ek us ke jawab ka ilm nahin ye tis baras kaise kate han yaad hai itna mein ek din toffee ke liye roya tha bahut amman ne mujhe pita tha bahut han yaad hai itna main ek din titli ka taaqub karte hue ek ped se ja takraya tha han itna yaad hai main ek din nindon ke dayar mein sapnon ki pariyon se lipat kar soya tha han itna yaad hai main ek din ghar walon se apne lad-bhid ke tod aaya tha sab rishte-nate han itna yaad hai main ek din jab bahut dukhi tha tanha tha ek jism ki aag mein pighla tha han ye bhi yaad hai main ek din sach bol ke pachhtaya tha bahut apne se bhi sharmaya tha bahut han ye bhi yaad hai mujh ko ki main jab bahut hi be-kal hota tha ashaar bhi likkha karta tha han ye bhi yaad hai mujh ko ki main roti rozi ki tamanna mein bada khwar hua is duniya mein han aur bhi kuchh hai yaad mujhe magar is ka jawab kahan ye sab ye tis baras kaise guzre ye tis baras kaise kate ab is ke jawab se kya hoga chalo utho ki subh hui dekho chalo utho ki apna kaam karen chalo utho ki shahr-e-tamanna mein marham dhunden un zakhmon ka jo dil ne abhi tak khae nahin tabir karen un khwabon ki jo aankhon ne dikhlae nahin un lamhon ke hamraaz banen jo zist mein apni aae nahin chalo tiswan sal bhi bit gaya chalo mai chalkaen jashn karen chalo sar ko jhukaen sajde mein is umr-e-faromaya ka safar aadhe se ziyaada khatm hua