main aahen bhar nahin sakta ki naghme ga nahin sakta sakun lekin mere dil ko mayassar aa nahin sakta koi naghme to kya ab mujh se mera saz bhi le le jo gana chahta hun aah wo main ga nahin sakta mata-e-soz-o-saz-e-zindagi paimana o barbat main khud ko in khilaunon se bhi ab bahla nahin sakta wo baadal sar pe chhae hain ki sar se hat nahin sakte mila hai dard wo dil ko ki dil se ja nahin sakta hawas-kari hai jurm-e-khud-kushi meri shariat mein ye hadd-e-akhiri hai main yahan tak ja nahin sakta na tufan rok sakte hain na aandhi rok sakti hai magar phir bhi main us qasr-e-hasin tak ja nahin sakta wo mujh ko chahti hai aur mujh tak aa nahin sakti main us ko pujta hun aur us ko pa nahin sakta ye majburi si majburi ye lachaari si lachaari ki us ke git bhi dil khol kar main ga nahin sakta zaban par be-khudi mein nam us ka aa hi jata hai agar puchhe koi ye kaun hai batla nahin sakta kahan tak qissa-e-alam-e-furqat mukhtasar ye hai yahan wo aa nahin sakti wahan main ja nahin sakta haden wo khinch rakkhi hain haram ke pasbanon ne ki bin mujrim bane paigham bhi pahuncha nahin sakta