chalo aaj ek aur koshish hogi phir ek sham dub jaegi sharab mein zindagi ke andhere sard tukde jam mein ghul kar honthon ke hawale honge zaban pe thirakti tishnagi dhire dhire halq tak phail jaegi khamoshi ka libas pahne kone mein qaid tanhai riha hogi aur nas nas mein daud kar raqs karegi mere lahu mein bah rahe us be-qabu shakhs ko sambhaalne ki mashaqqat hogi sulagti ruh us ki yaadon ki bhap mein tap kar surkh lal ho jaegi aankhon se garm bulbule tapakne lagenge jam-dar-jam andaruni ubaal pighalta jaega jab aankhon ke paimane bilkul khali ho jaenge tab us lal bistar par meri ninden tumhaare khwabon ko aaghosh mein le kar so jaegi