umr aur raste katte chale gae abhi abhi sansen sambhali thi na jaane kab hausle bhi sambhalte chale gae shuruati ye raste sidhe-saral saf hua karte the unchai pe badhte hi pathrile hue kanton se grast han kabhi koi jharna mil jata tha ped bhi chhanw le kar meri madad ko aate the wo jharne wo chhanw magar sath na chal pate the waqt tha jo sath chala mere ek roz wo bhi chala gaya tajarbe ki peti de kar ab use bhi uthae chalna hai sambhaale rakhna hai sanson ki tarah hauslon ki tarah raste mein milega wo phir se aur mangega mujh se us peti mein se kuchh ya de jaega do chaar aur bhi uthane ko waqt milta gaya mod aate gae kuchh log bhi bojh kam hota phir badh bhi jata rasto mein bhatak bhi jata kahin kahin bojh bhaari hua tha thaki aankhon ka bhi ek bojh tha budhape ki choti ab abhi milon dur thi par wahan shayad sukun hoga kahin pahunch jaane ki rahat hogi chand ki thandak mere qarib hogi us choti pe pahunch kar thake hue pairon ko kinare rakh dunga kyunki wahan se aage ab kuchh na hoga chalne ko aankh mundne ki mujhe ab ijazat hogi