pathrile kohsar ke gate chashmon mein gunj rahi hai ek aurat ki narm hansi daulat taqat aur shohrat sab kuchh bhi nahin us ke badan mein chhupi hai us ki aazadi duniya ke mabad ke nae but kuchh kar len sun nahin sakte us ki lazzat ki siski is bazar mein go har mal bikau hai koi kharid ke lae zara taskin us ki ek sarshaari jis se wo hi waqif hai chahe bhi to us ko bech nahin sakti wadi ki aawara hawao aa jao aao aur us ke chehre par bose do apne lambe lambe baal udati jae hawa ki beti sath hawa ke gati jae the laughter of a woman