yahin to kahin par tumhaare labon ne mere sard honton se barfile zarre chune the usi ped ki chhaal par hath rakh kar hum ek din khade the yahin barf-bari mein hum ladkhadate hue ja rahe the bahak taza boson ki sar mein samae ham-aghoshi jism-o-jaan ke nashe mein gai barf-bari ki rut aur pighalti hui barf bhi bah gai sab yahan kuchh nahin ab ki har shai nai hai hata kar rida barf ki ghas lahra rahi hai hari pattiyon ki ghani tahniyon mein hawa jab chale to gae mausamon se guzarti hamari hansi gunjti hai