chhod de yar ab khel tamashe dekh swang rachate apna asli chehra kho baithega apne aap se jo ek rasmi sa rishta hai hath us se bhi dho baithega chhod de jhuti shahwat ke masnui dawe ishq-o-mohabbat ke ye jali nare lazzat bhare talazumon ke bazari nutfe jinnati tashbihon mein in chhoti chhoti kamingiyon ke giraate haklate bute be-mani ayyar dalilen mange tange falsafiyon ke farzi tone chhod tawiz aur dhage khel tamashe banda ban ja ab to man ja sidhe munh ab aadam-zadon jaisi hum se baaten kar warna jo tu nahin hai is ki naql utarte tera munh bhi tedha-medha ho jaega teri in jali nazmon ka tona ulta ho jaega