log kahte hain ki parbat se nikal kar chashme kisi khoi manzil ki taraf bahte hain aur sar-e-sham hawa un ke liye chalti hai jin ke mahbub bahut dur kahin rahte hain koi paigham nahin jis ki tawaqqoa ho mujhe kis liye gosh-bar-awaz hun malum nahin jo kabhi dil mein tamanna thi wo aaghosh mein hai ab kidhar mail-e-parwaz hun malum nahin nahin malum ki us gham ki haqiqat kya hai ashk ban kar meri aankhon se baha jata hai lab pe aata nahin wo jazb-e-betab magar git banne ke liye dil mein raha jata hai