jaise jhuk kar us ne sargoshi mein mujh se ye kaha wo dayar-e-gharb ho ki gulsitan-e-sharq ho zulm ke mausam mein bu-e-gul se khilte hain gulab justuju ki manzilon mein khwab ki mishal liye daliyon par aa ke girte hain thake-mande parind aashiyan-bandi mein rang o nasl ki tamiz kya tafriq kya jabir o majbur ki duniya alag uqba alag