main ne har gham mein tera sath diya hai ab tak teri har taza masarrat pe hua hun masrur apni qismat ke badalte hue dhaaron ke siwa teri qismat ke bhanwar se bhi hua hun majbur tere sine ka har ek raaz bata sakta hun mujh mein poshida nahin koi tera soz-e-darun fikr-e-manus pe zahir hai har ek khwab-e-jamil aur har khwab se milta hai tujhe kitna sukun aaj tak tu ne magar mujh se na puchha hai kabhi kyun mere gham se tera chehra utar jata hai? jab mere dil mein lahakte hain masarrat ke kanwal kyun tera chehra masarrat se nikhar jata hai?