baitha hua hun subh se larense-bagh mein afkar ka hujum hai mere dimagh mein chhaya hua hai chaar taraf bagh mein sukut tanhaiyon ki god mein leta hua hun main ashjar bar bar daraate hain ban ke bhut jab dekhta hun un ki taraf kanpta hun main baitha hua hun subh se larense-bagh mein larense-bagh kaif o latafat ke khuld-zar wo mausam-e-nashat wo ayyam-e-nau-bahaar bhule hue manazir-e-rangin bahaar ke afkar ban ke ruh mein meri utar gae wo mast git mausam-e-ishrat-fishaar ke gahraiyon ko dil ki gham aabaad kar gae larense-bagh kaif o latafat ke khuld-zar hai aasman pe kali ghataon ka izhdiham hone lagi hai waqt se pahle hi aaj sham duniya ki aankh nind se jis waqt jhuk gai jab kaenat kho gai asrar-e-khwab mein sine mein ju-e-ashk hai mere ruki hui ja kar use bahaunga kunj-e-gulab mein hai aasman pe kali ghataon ka izhdiham afkar ka hujum hai mere dimagh mein baitha hua hun subh se larense-bagh mein