nasim-e-khuld be-khaufi se mere ghar mein dar aai kaha main ne ki tum kab shoala-e-jawwala ban jaogi khashak-e-dil-o-jaan ko jala kar khak karna hai badan par tharthari tari hai diwaren larazti hain wo thandak hai ki baalon ki jadon mein khun jamta ja raha hai har kadi chhat ki sikud kar chashm aifyun-nosh ke manind chhoti hoti jati hai wo dekhun wo rahi ek gurba-miskin chhupi kone mein baithi hai ab in takti hui aankhon ke bhure malgaje baadal gul-o-lala sharar barsa nahin pate wo thandak hai ki qalb hosh yakh-basta hua jata hai tum kab shoala-e-jawwala banne wali ho bolo nasim-e-khuld boli mere tar-e-nafas mein yun nihan saffak lali hai lahu jaise rag nazuk mein poshida mujhe aaghosh mein le kar nichodo tum to angare tapakte dekh paoge mujhe mutthi mein bhar kar munh mein rakh lo pi ke dekho wo sunahra tir hun main jo gale mein chubh ke ban jata hai angara tumhein jalna nahin aata