ek din manaya jaana chahiye mera bhi sans ki be-awaz lahron par tairti zindagi ke sath be-nishan sahilon par bikhri sipiyon ke hamrah sard mausamon mein kuch kar jaane wale parindon ke sang anjaan sar-zaminon par kisi an-dekhe rang ke phul ki pattiyon se phutti pur-asrar khushbu ke bazuon mein tum manate ho mother day aur hisar mein rahte ho mamta ke nur ke tum manate ho father day aur ghane darakhton ki chhanw mahsus karte ho tum manate ho walentine day aur apni mahbuba ke samne surakh-ru thaharte ho tumhaara dil tawaf karta rahta hai be-payan mohabbaton ka aur tum mohabbat ka har din manate ho dukanen saj jati hain rang-birange phulon se choklet aur cake ki mithas se qimaten mukhtalif sahi magar izhaar ki sakat tumhaari quwwat-e-kharid mein rahti hai main tumhaare bap ki mohabbat ka har rang har zaiqa jaanti hun ek din manaya jaana chahiye mera bhi mujhe malum hai tum ye din mana sakte ho magar ye din sare dinon mein sarayat kar gaya hai tum use nahin dhund sakte koi ek din mukhtas bhi kar do to us ka unwan tumhaare izhaar ki sakat se bahar hai