apne kamzor iman ki pukhtagi ke liye apne andhe khayalat ki raushni ke liye apne bosida afkar ki tazgi ke liye dhons se zor se aur banduq se be-gunahon ke maqtal sajae gae naujawanon ke shaffaf chehron pe jangal ugae gae madrase ladkiyon ke jalae gae ab unhen zinda dargor karne ka ek marhala aur hai amn ka pyar ka bhai-chaare ka ikhlas ka aur tahammul ka zakhmi parinda aaj banduq ki naliyon mein pada so raha hai tazkira sirf iman ka ho raha hai