ek gae aur bakri

ek charagah hari bhari thi kahin
thi sarapa bahaar jis ki zamin

kya saman us bahaar ka ho bayan
har taraf saf nadiyan thin rawan

the anaron ke be-shumar darakht
aur pipal ke saya-dar darakht

thandi thandi hawaen aati thin
taeron ki sadaen aati thin

kisi naddi ke pas ek bakri
charte charte kahin se aa nikli

jab thahar kar idhar udhar dekha
pas ek gay ko khade paya

pahle jhuk kar use salam kiya
phir saliqe se yun kalam kiya

kyon badi bi mizaj kaise hain
gay boli ki khair achchhe hain

kat rahi hai buri-bhali apni
hai musibat mein zindagi apni

jaan par aa bani hai kya kahiye
apni qismat buri hai kya kahiye

dekhti hun khuda ki shan ko main
ro rahi hun buron ki jaan ko main

zor chalta nahin gharibon ka
pesh aaya likha nasibon ka

aadmi se koi bhala na kare
us se pala pade khuda na kare

dudh kam dun to badbadata hai
hun jo dubli to bech khata hai

hathkandon se ghulam karta hai
kin farebon se ram karta hai

us ke bachchon ko palti hun main
dudh se jaan dalti hun main

badle neki ke ye burai hai
mere allah teri duhai hai

sun ke bakri ye majra sara
boli aisa gila nahin achchha

baat sachchi hai be-maza lagti
main kahungi magar khuda-lagti

ye charagah ye thandi thandi hawa
ye hari ghas aur ye saya

aisi khushiyan hamein nasib kahan
ye kahan be-zaban gharib kahan

ye maze aadmi ke dam se hain
lutf sare usi ke dam se hain

us ke dam se hai apni aabaadi
qaid hum ko bhali ki aazadi

sau tarah ka banon mein hai khatka
wan ki guzran se bachae khuda

hum pe ehsan hai bada us ka
hum ko zeba nahin gila us ka

qadr aaram ki agar samjho
aadmi ka kabhi gila na karo

gay sun kar ye baat sharmai
aadmi ke gile se pachhtai

dil mein parkha bhala-bura us ne
aur kuchh soch kar kaha us ne

yun to chhoti hai zat bakri ki
dil ko lagti hai baat bakri ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close