aur phir donon fanus sine ke bujh jaenge odh legi dhuan dudh ki dhaar ki tarah ujli nazar nakhun-e-pa se zulfon ke baadal talak jagmagati hui khaal se khwahishon ke pur-asrar mahmil talak ek tahrir likhegi dimak fana har taraf be-hisi tirgi tirgi han magar sirf rukhsar o lab sirf rukhsar o lab rakh mein dabi chingariyon ki tarah jagmagaenge un par mere aur tere garm boson ki tahrir hai zindagi aur phir waqt ki lamha lamha ubharti hui sakht diwar gir jaegi aur apne badan aur mamuli namon mein tahlil ho jaenge nur ka ped ban jaenge aane wale nae mausamon ki hawa ho ke shakhon se guzregi aur aasmani sadaon mein gaya hua ek la-fani o be-karan git gunjega aur gunjta hi rahega sada aur gunjta hi rahega sada