adhuri ladkiyo tum apne kamron mein purane sal ke bosida calender saja kar sochti ho ye badan umron ki sazish mein na aaenge tumhein kis ne bataya hai ghadi ki suiyon ko rokne se daudta aur hanpta suraj misal-e-naqsh-e-pa aflak par jam jaega tumhein malum hai uryaniyon ko dhanp kar tum aur uryan ho rahi ho roz in aankhon ki tikdi mein tumhaare jism tulte hain har ek shab hostel mein tash ki bazi mein tum ko jit kar ek jashn hota hai hamari khwab-gahon mein tumhaare khwab raushan hain chali aao ki bahar barf hai aur ab hamein tum se juda bistar kahan taslim karte hain chali aao ki umren raegan hone se bach jaen!