mere pahlu-ba-pahlu jab wo chalti thi gulistan mein faraaz-e-asman par kahkashan hasrat se takti thi mohabbat jab chamak uthti thi us ki chashm-e-khandan mein khamistan-e-falak se nur ki sahba chhalakti thi mere bazu pe jab wo zulf-e-shab-gun khol deti thi zamana nikhat-e-khuld-e-barin mein dub jata tha mere shane pe jab sar rakh ke thandi sans leti thi meri duniya mein soz-o-saz ka tufan aata tha wo mera sher jab meri hi lai mein gungunati thi manazir jhumte the baam-o-dar ko wajd aata tha meri aaankhon mein aanhken dal kar jab muskuraati thi mere zulmat-kade ka zarra zarra jagmagata tha umand aate the jab ashk-e-mohabbat us ki palkon tak tapakti thi dar-o-diwar se shokhi tabassum ki jab us ke hont aa jate the az khud mere honton tak jhapak jati thin aanhken aasman par mah o anjum ki wo jab hangam-e-rukhsat dekhti thi mujh ko mud mud kar to khud fitrat ke dil mein mahshar-e-jazbaat hota tha wo mahw-e-khwab jab hoti thi apne narm bistar par to us ke sar pe maryam ka muqaddas hath hota tha khabar kya thi ki wo ek roz mujh ko bhul jaegi aur us ki yaad mujh ko khun ke aansu rulaegi