bisat-e-zindagi to har ghadi bichhti hai uthti hai yahan par jitne khane jitne ghar hain sare khushiyan aur gham inam karte hain yahan par sare mohre apni apni chaal chalte hain kabhi mahsur hote hain kabhi aage nikalte hain yahan par shah bhi padti hai yahan par mat hoti hai kabhi ek chaal talti hai kabhi bazi palatti hai yahan par sare mohre apni apni chaal chalte hain magar main wo piyaada hun jo har ghar mein kabhi is shah se pahle aur kabhi us mat se pahle kabhi ek burd se pahle kabhi aafat se pahle hamesha qatl ho jata hai