lamhon mein zindagi ka safar yun guzar gaya sae mein jaise koi musafir thahar gaya makhmur tha nashe mein gham-e-rozgar ke hosh aa gaya to umr ka paimana bhar gaya daulat bhi us ke hath na aai tamam-umr kuchh nam hi na apna zamane mein kar gaya sab us ke khair-khwah bulandi pe rah gae shohrat ki sidhiyon se wo niche utar gaya mauqa-parast aab-o-hawa mein na ji saka apni ana ki qaid mein jaan se guzar gaya maut us ki sari mushkilen aasan kar gai ek bojh zindagi ka tha sar se utar gaya afsos kam hua magar hairat bahut hui jab 'khwah-makhwah' ain zaifi mein mar gaya