bahut gum-sum bahut khamosh hai wo chand arse se samajh mein kuchh nahin aata ki aakhir majra kya hai wahi mausam wahi chahat wahi rangat bhi phulon mein magar ek us ki khamoshi ne is pur-kaif mausam ko hamare waste mausam khizan ka bana dala parinde ab bhi baghon mein chahakte hain ghataen ab bhi aati hain hawaen ab bhi chalti hain magar phir bhi masarrat dil ko kyun hasil nahin hoti wajh ye hai piya khamosh hai mera