mere yar tera mera ek hi rasta hai ki palkon se sahra ba-sahra chamakdar zarraat chun kar sharabor mutthi mein mahfuz karte rahen aur sar-e-sham phaila ke in ko hatheli pe dekhen ki aaya koi reza-e-zar bhi hasil hua ya nahin kitab-e-muqaddar bhi naqsh-e-izafa na utre to batn-e-tafakkur ko ummid ke nan-e-shirin se bhar kar shagufta shuaon mein sar ko jhukae usi apni mansub rah pe nikal jaen palkon se zarraat chunne ki khatir ghurub-e-shafaq tak