dil mein uthti hai masarrat ki lahar holi mein mastiyan jhumti hain sham-o-sahar holi mein sare aalam ki faza gunjti hai naghmon se kaif-o-masti ke baraste hain guhar holi mein dushman aur dost sabhi malte hain aapas mein gulal sare be-kar hue tegh-o-tabar holi mein mohtasib mast hai aur hazrat-e-wais sarshaar mai-kada ban gaya hai aish-nagar holi mein kis ki makhmur nigahon ne pilae saghar mast-o-be-khud hue sab ahl-e-nazar holi mein aaj cupid bhi liye hathon mein pichkari hai us se bach kar bhala jaoge kidhar holi mein khum ke khum tu bhi lundhane ki qasam kha le aaj dekh zahid kahin rakhiyo na kasar holi mein tu samajhta hai ki hai tu hi nirala zahid are aate hain yahan tere khusar holi mein kapde lat-pat kiye kichad mein chale aate hain shaikh-sahab ke pisar lakht-e-jigar holi mein budhe budhe bhi khade takte hain lakdi tike band hain raste aur rahguzar holi mein aur basti nahin ye hind hai sun khol ke kan bach ke chalte hain yahan khwaja khizar holi mein mai-kada hai yahan saman-e-masarrat hain 'zarif' aa bhi jao miyan be-khauf-o-khatar holi mein