suraj dhalta hai aur bam girta hai aur bam girte hain suraj dhalne se suraj chadhne tak chadhe hue din mein bhi idhar udhar bam girte rahte hain lekin koi chikh sunai nahin deti pahle deti thi ab koi nahin rota gahre gahre gadhe hain aur gadhon mein galta hua insani mas hai bacha-khucha aur chaaron jaanib inten patthar sariya tute hue darwaze khidkiyan kutta billi chil aur dare dare kuchh log udhar udhar se jhankte hain udhar udhar chhup jate hain bam girta hai lekin ek khandar mein cigarette jalta hai bujhta hai jalta hai dar ghusse mein dhalta hai rocket chalta hai rocket chalta hai duniya chikhti hai aur bam girta hai to kisi ko sunai nahin deta kisi ko dikhai nahin deta