ye tere hijr ki aandhi kahan le aai hai mujh ko yahan har samt ek suraj sawa neze pe jalta hai na sar se dhup utarti hai na saya koi dhalta hai hawa-e-sham chalti hai na koi shama jalti hai falak par najm aate hain na to mahtab aata hai kisi ki aankh soti hai na koi khwab aata hai