mere kamre mein phaili hai ek kahani abhi zara si der hui hai main ne ek maile kaghaz par harfon ke tukde jode the aur kahani ko thodi si jagah mili thi phir lafzon ke tane bane bikhar gae the jin lafzon se aankh-micholi khelte khelte bit gaya hai itna waqt ki ab to yaad bhi kab aata hai apne jism ki qaid mein hain hum ya bahar hain itna waqt ki manzar sare pighal gae hain ojhal hain taswir ke rang mein ya zahir hain aur kahani kaghaz se bah nikli hai sare kamre mein phaili hai sab darwazon aur darichon se lipti hai sari kitaben aundhi kar ke un se wo sab lafz nikal ke le aai hai jo hum ne ek sath padhe the meri almari se band lifafe khol ke sare khwab utha lai hai jo hum ne ek sath bune the aur zamin se chhat tak kaise bechaini se bhatak rahi hai thak jati hai aur meri aankhon se bahne lag jati hai bistar ke niche chhup kar aahen bharti hai mere kandhe par sar rakh ke so jati hai aur kabhi khidki ke pat par matha tek ke kho jati hai mere kamre mein phaili ye ek kahani ghat mein hai ab koi rauzan-e-dar darwaza khul jae to ye is habs-zada kamre se bahar nikle jaise mere dil ki ek ek rag ko chir ke bah nikli thi