ek kahani aur suna do ek kahani aur ek kahani ek kahani achchhi nani aur lal pari aakash se utri pariyon ke raja ki putri ek mahal ke chhat par aai chhat par nachi chhat par gai ye to bata do us ne dil mein kya thi thani aur ek kahani ek kahani achchhi nani aur mulla nasruddin kahan hain kya wo kisi ke phir mehman hain un ki baaten kah ke hansa do ek dafa phir aaj hansa do aql ko sharma dene wali ek nadani aur ek kahani ek kahani achchhi nani aur baal jala kar dew bulao us se kaho ek mahal banao mahal mein lakhon pariyan aaen aur mahal le kar ud jaen badh jae jis se hamari kuchh hairani aur ek kahani ek kahani achchhi nani aur