jab dariya mein aag lagi billi ne ek jast lagai ja baithi diwar par kachhwe ko udna aata tha ud kar baitha tar par meindak ko aage jaana tha wo to bhaga car par tar pe billi nach rahi thi kachhwe se ye boli aao baadal mein chhup jaen khelen aankh-micholi machhli beti ungh rahi thi wo bhi pichhe ho li jab dariya mein aag lagi baadal mein tha pani kam-kam lekin dhup thi zyaada dhup ke bistar par leta tha barish ka shahzada sab mein ole bant raha tha shahzade ka dada jab dariya mein aag lagi machhli ne aawaz lagai mujh ko bhi do ole billi aur kachhwe ko dekha phir dada ji bole baadal ke jo darwaze the ja kar kis ne khole jab dariya mein aag lagi dada ki ye baat suni to billi daudi aai billi ko ek dhakka mara kachhwe se takrai machhli apna munh latkae niche wapas aai jab dariya mein aag lagi