ghazala kai bar puchha hai main ne dhundhlakon mein shab ke maze shahr ke chaar-minar se jo ahl-e-dakan ki mohabbat ka model hai ab tak kai bar puchha tujhi ko sar-e-bazm kyon main ne dekha jo dekha to kyon der tak tujh ko dekha kiya mujhe yun laga mere bachpan ki khoi hui aarzu ka nishan mil gaya tera rup aazar ka husn-e-tafakkur koi wahima to nahin ye aankhen jo khayyam ka mai-kada hain koi hadisa to nahin koi khwab-e-rangin jo tabir ki wadiyon tak na pahuncha koi mere pichhle janam ki adhuri tamanna ghazala agar shiddat-e-arzu mein sadaqat hai apni to agle janam mein kisi mod par phir milenge ye aawa-gawan ke hasin silsile to abad tak rahenge tamannaen sheron mein dhalti rahengi