raat jangal ghana wo garajti hawa do darakhton ki konpal bhari daliyan ek se ek is tarah takra gain jaise barson judai mein jalte badan baat puri suno tum to sharma gain aag paida hui ped jalne lage shor barpa hua har taraf dhuan hi dhuan aur phir na puchho ki phir kya hua rakh ke dher ko ab munasib nahin chhedna