an-ginat kahkashaon ke jhurmut ne be-intiha daere bun diye aur patal mein jazb rangon ne ugle kai halhale apne tabut mein khud se haibat-zada jabr ki zindagani mein jita raha yun jamal-e-sahar zard suraj ke hathon mein girwi raha kasmasate badan ke junubi taraf taziyanon ki barsat jari rahi aur shumali taraf sang-bari se udhdi hui khaal par zindagi ki ye tamsil likkhi gai main to bas waqt ki jail mein qaid tha aur tasawwur mein thi lahlahati hui khushnuma zindagi yani shandur ki bhurnhuri ghas pe baith ke match polo ke dekha karun aur qahwa ki chuski lagate hoi sartre ko padhun qahqahon ke tamawwuj mein raqsan rahen nutq-e-takhliq ke be-karan zamzame par tasawwur to aakhir tasawwur hi hai dam-ba-dam phailte raqs karte khayalat ke silsile sath chalte hue yak-ba-yak ruk gae chaar-su goya phir ek diwar thi sans lene ki koshish bhi be-kar thi